Sunday 5 August 2012

Friends


dosti ke sagar mei humne apni kasti ko utara hai,
mile hai khas zindagi ke har mod pe,
zaha zaha waqt ne hume kuch sikhne ke liye giraya hai
har pal un khas logo ne sahara de kar uthaya hai.
dosti to sirf shabd hai par uska asli matlab muskil se samaj mei aaya hai,
dil se yaad karta hu unko jinhone meri zindagi mei apna samay bitaya hai.
Happy Friendship Day !!!!

Wednesday 1 August 2012

Mausam

Mausam ke dukh ko kaun samaj paya hai,
jab jab vo barsa tab tab logo ne jashn manaya hai,
aakh se aasu aaj bhi tapakte hai,
par use humne apne khusi ke chehre ke piche chipaya hai.

Ignorance

 Tumse hi to seekha hai nazar andaz karne ka tarika, ab tum par hi azmaya to hairat kaisi