Tuesday 26 December 2023

Ignorance

 Tumse hi to seekha hai nazar andaz karne ka tarika,

ab tum par hi azmaya to hairat kaisi

Sabar

 usey sabar karna sikha rahi hai zindagi

jisey har chiz zidd karke lene ki aadat thi

Monday 13 March 2023

Yaad

 Nighao mei koi bhi dusra chaehra nahi aaya

Barosha hi kuch aisa tha tumhare laut aane ka

Emptyness

 Gujarte waqt ko dekh aaj ye aisaas hua

Zindagi  to ji li magar uske jaane ka gum aaj bhi hai

Saturday 19 March 2022

Life

 Jindagi aasan nahi yaara,

Mushkila sheni pendi hai,

Kaate to raha vich milte hai,

Phoola ta manjila vich milte hai.

Saturday 8 January 2022

Thursday 29 August 2019

Thought 03

Lamha lamha kar ke waqt kuch is tarah nikal gaya,
Kal tak tum saath the aur aaj tumhara haafizaa hi reh gaya.

Sunday 18 August 2019

Kismat

Lamha lamha karke waqt kuch is tarah nikal gaya,
Tamasha ban gayi jindagi aur usmei kismat ka bandar banke reh gaya.

Saturday 2 March 2019

Time

Mujhe fursat nahi zamane ki,
Kyuki jindagi jeene mei bade syape hai

Ek waqt tha mohabat lagti thi haseen,
Aaj milte sirf usmei kaate hai,

Ek umar thi sapno mei khud ko bhulane ki,
Ab to sirf jaam se jaam takrate hai,

Mujhe fursat nahi zamane ki,
Kyuki jindagi mei khus rehne ke syape hai

Mujhe haq nahi kisi ko rulane ka,
Kyuki jindagi ne gum bahut baate hai,

Mujhe fursat nahi zamane ki,
Kyuki Teri yaado ko mitane ke syape hai

Mujhe fursat nahi batane ki,
Jo lage sahi tham lo use
Ye zindagi bus hai..ruko aur jeelo isse

Thursday 27 September 2018

Thought 02

Na socha na jaana, na samjhna na samjhana,
Pi rahe the hum aur jhom raha tha saara jamana.

Saturday 15 September 2018

Thought 01

Un lamho ki kya baat kare,
Jinhe tumne aabad kiye,
Kasme khayi thi saath rehne ki,
Jinhe is waqt ne barbaad kiye.

Ignorance

 Tumse hi to seekha hai nazar andaz karne ka tarika, ab tum par hi azmaya to hairat kaisi